Bihar News: सहरसा-पाटलिपुत्र स्पेशल ट्रेन आज से शुरू, वंदे भारत और अमृत भारत ट्रेन की तैयारी भी तेजA special train service between Saharsa and Patliputra began on Friday. This train will operate between Saharsa and Patliputra, and then continue to Bengaluru. The Saharsa-Patliputra special train (03387) departs Saharsa at 1:35 PM and reaches Patliputra at 7:15 PM. From Patliputra, it continues to Bengaluru as train number 22351, departing...
more... at 8:15 PM and arriving in Bengaluru at 4:35 PM on Sunday. The return journey from Bengaluru starts at 1:50 PM on Monday and reaches Patliputra at 10:25 AM on Wednesday. From Patliputra, it departs for Saharsa as train number 03388 at 11 AM and reaches Saharsa at 5:15 PM. This service will benefit passengers travelling from Saharsa to Bengaluru, though they will need separate tickets for the Saharsa-Patliputra and Patliputra-Bengaluru segments. The railway has announced 11 trips in each direction for this train. The East Central Railway has sent a proposal to the Railway Board for extending this train's route. Additionally, a Vande Bharat train service between Saharsa and Sealdah is expected to commence by the end of this month, traversing through Jha Jha and Kiul. Although the timetable is yet to be released, the DRM has confirmed that training has been provided to loco pilots in Saharsa, and the Railway Board's approval is awaited. The DRM also mentioned proposals for two new Amrit Bharat trains from Saharsa to Amritsar and Old Delhi, but has denied any official confirmation. Several special trains are planned for the Diwali and Chhath festivals, with routes being planned for destinations like Kolkata, Delhi, Chennai, Pune, Bengaluru, Hisar, Sirhind, and Punjab. The DRM has inspected various level crossing gates on the Samastipur-Saharsa rail section, emphasizing safety and security standards.
Saharsa aur Patliputra ke beech ek special train service shukravaar se shuru ho gayi hai. Yeh special train Saharsa se Patliputra aur Patliputra se Bengaluru ke liye chalegi. Railway dwara jaari notification ke anusar, Saharsa-Patliputra special train (03387) dopahar 1:35 baje Saharsa se rawana hokar shaam 7:15 baje Patliputra pahuchegi. Wahi,...
more... Patliputra se Bengaluru ke liye yeh train 22351 ke roop mein raat 8:15 baje chalegi aur ravivaar sham 4:35 baje Bengaluru pahuchegi. Bengaluru se somvaar ko dopahar 1:50 baje yeh train chalegi aur budhvaar subah 10:25 baje Patliputra pahuchegi. Fir Patliputra se 03388 number ke roop mein yeh special train Saharsa ke liye subah 11 baje rawana hogi aur shaam 5:15 baje Saharsa pahuchegi. Is train ke chalne se Saharsa se Bengaluru jaane wale yaatriyon ko kaafi suvidha milegi. Halanki, yaatriyon ko Saharsa se Patliputra aur Patliputra se Bengaluru ke liye alag-alag ticket lene honge. Railway ne is train ko dono dishao mein 11-11 trip chalane ki notification jaari ki hai. Jaankaari ke anusar, is train ke vistar ke liye poorv madhy railway ne railway board ko proposal bheja hai. Is mahine ke ant tak Saharsa se Sealdah ke beech Vande Bharat train ki shuruaat ho sakti hai, yeh train Jha Jha aur Kiul hote hue Sealdah tak jaayegi. Railway ne iska notification jaari kar diya hai, halanki samay sarani ab tak ghosit nahin ki gayi hai. DRM Vinay Shrivastav ke anusar, Saharsa-Sealdah Vande Bharat train ke chalane ki taiyaari puri ki ja rahi hai aur Saharsa ke loco pilots ko route training diya ja chuka hai. Iske chalne ke liye railway board ke nirdesho ka intezar hai. Aane wale dino mein Saharsa ko do nai Amrit Bharat train milne ki sambhavna hai. Saharsa se Amritsar aur Purani Delhi ke liye Amrit Bharat trainon ka proposal hai. Halanki DRM ne is sambandh mein koi aadhkaric jaankaari hone se inkar kiya hai. Diwali aur Chhath jaise pramukh tyohar ko dhyaan mein rakhte hue Saharsa se lambi duri ki kai special train chalane ka proposal hai. DRM ne bataya ki pichhle saal ke yaatra ke aankadon ka adhyayan kar Kolkata, Delhi, Chennai, Pune, Bengaluru, Hisar, Sirhind aur Punjab ke liye special train chalane ki yojana banayi gayi hai. Iske liye proposal railway mukhyalaya aur mantrayal ko bheja ja chuka hai. Manjuri milne par in trainon ka chalana shuru kar diya jayega. DRM Vinay Shrivastav ne Samastipur se Saharsa railkhan ke vibhinn level crossing gates par raat mein auchak nirikshan kiya. Unhone gatekarmion se suraksha aur sanraksha se sambandhit jaankaari li aur nirdes diya ki sabhi suraksha mankon ka palan sunishchit kiya jaaye.