bhai niyamo ki andekhi ne le li kai jane aur koi nahi........
rail prashashan ki laparwahi hai isme
Local Railway authorities agar railway manual ka palan karte na toh aisa hadsa hota he na kabhi
iske bawjood abhi tak kisi adhikari ya karamchari ke khilaf karayawahi q nhi ki gai ?
80kmph...
more... pe kabhi bhi is train ko paas karna he nhi chahiye tha
jab rail yatrio ko loop line pe utara jata hai toh waha se MAIL/EXP/SF ko kafi slow speed pe guzara jana chahiye
aur is station pe ek nhi 2 train se log utar rahe the
aur rail prashashan ko bari2 se train ke yatrio ko utarwana chahiye tha par aisa nhi kiya gaya
station pe adhik sankhya me jab yarti utarte hai toh Station Master ko iski jankari pados ke dono station ko de deni chahiye jismeyeh batana hota hai ki AANE wali trains ko kam speed se skipp karana hai agle station ko aur iske alawa train aane se pehle yatrio ko suchit krna chahiye tha aur aise festivals pe aur extra karamchario ki duty bhi lagwana tha par aisa kuch kyu nhi hua ?
driver train k jinka naam Rajaram hai and ALP S.K.Suman ki bat bhi hui thi is incident ke baad IRLRMO se toh driver ne kaha tha ki unko dhamara me umadne wali bheed ki jankari nhi di gayi thi
aur jaisa ki aap jante hai train chalne se pehle he driver ko Form T 406 diya jata hai jisme Signal ki kharabi,patri pe kaha2 marammat ka kaam chal raha hai,kharab railway crossing and bheed wale station sath me raftar wagairah ki jankari spasht di rehti hai par aise me bhi is form me is station pe kisi bhi tarah ka caution ya bheed ka sanket nhi diya gaya tha
aur agar aisa hota toh yeh hadsa he na hota