It's just a zonal politics.
Is route pe koi bhi major station nhi hai.
Sab stations NSG-5, 4 aur kuch station NSG-3 categories ke hai.
Is route se train chalayenge to NR ka ye...
more... route bas ek bypass route ban jayega jisse NR ko bahut kam revenue hoga.
NR nhi chahta ki vo is route ko develope krne pe kharcha kre aur baaki zones iska istemal kre faster connection ke liye.
Via Lucknow route pe Kai badhe station aate hai jaise ki Sultanpur, Ayodhya, Pratapgarh, Jaunpur, Raebareli, Nihalgarh. In stations se achha revenue aata hai. Agar Unchahar dalmau wale route pe dekhe to Unchahar aur Unnao yahi dono achha revenue dene wale stations hai but inka revenue bhi bahut kam hai.
Maine iske regarding RTI bhi daali thi. (
/blog/post/6038489)Usme NR ne bola ki is route pe Phaphamau Bypass abhi passenger trains ke liye fit nhi hai.
Irony ye hai ki usi Phaphamau Bypass pe Sultanpur Prayagraj route ki train chalti hai aur malgadhi chalti hai. Fir bhi NR ke hisaab se vo route abhi fit nhi hai.
Bahanebaji hai sab ye.