Topic se hat nahi raha hu bhai, tumhe sachchai se waakif kara raha hun... main bas yahi kah raha hun ki yaha chillane ka koi phaaida nahi hai.... "CTC BAM ka halt hatao" ka naara lagaate rah jaoge par koi yahan sun ne wala nahi hoga... Jyada se jyada tumhaare tarah koi aur supporters aur opponents mil jaayenge, thodi gaali galoj milegi, thodi bahut ratings, stars wagerah mil jaayengi apne post par bas... bas itna hi hota hai....Is website par koi railway ka officer, employee, ya koi MLA, MP nahi hai jo ki tumhari baat sun kar turant halt hata dega...