Oliyar
#Tip1. Hostel aur Retiring Room pehle manjil par hai, rr tourism site se book kare, offline booking par bharosa na kare kyunki room ya bed milne ke bahut kam chance hote hai..
Booking check in UTS counter pass kare, Retiring Room ke liye alag counter hai..
2. Hostel kamre ke number se batenge, mera kamra number 5 tha aur usme sirf 5 bed hai, shared bathroom aur western toilet, jisme kaam kar raha Geyser hai, par washroom ki condition na toh bahut achhi hai na kharab, average hai..
3. Station par various food options milenge, aur station ke bahar restaurant, hotel aur bar bahut sare hai.. famous kachoris ke liye pf1 side se exit le aur right side ki main road pe chale, waha ek famous restro hai Janta..
Aur maze ke liye exit le, road cross kare aur seedha road follow kare phir left mud jaye, waha Jalori Gate namak chauraha hai, waha famous snacks aur khane ke ghar milenge..
4. Transportation aasani se mil jayegi, yeh shahar metro city ki tarah bada nahi hai isliye yaha pe transportation asan hai..
Maine Rapido istemal kiya apni saari yatra ke liye, woh sasta aur tez hai.. lekin shared auto, city buses, cabs aur reserve auto bhi available hai..
5. Tourist ke liye bahut sare jagah hai, lekin mere kuch kaam ki wajah se mujhe itna time nahi mila ek jagah bhi ghoomne ka, isliye maine focus kiya 2-3 khane par, historical places aur sab pe nahi..
Lekin yeh shahar abhi blue nahi hai, logo ka rang badal raha hai aur blue city abhi hai kahawat ki baat hai, naya nickname hai Sun City.. station ke bahar bhi hoarding hai I ❤️ Sun City..
.
Overall mera anubhav Jodhpur mein 12 ghante ka hai 4/5
Jaipur ke comparison mein kachori yahan acchi hai par Jaipur bahut bada, viksit shahar hai, waha ghoomne ke bahut sare jagah hai sahi sequence mein.. shahar ki connectivity bhi local transportation ke through Jodhpur se acchi hai..
Lekin agar mujhe dono mein se ek shahar choose karna ho jahan kuch saal zindagi bitani ho toh main Jodhpur ko Jaipur ke badle chununga kyunki mujhe metro crowd pasand nahi hai anymore 😹..
.
#thinkDKG_TravelTips.
PS- ab Bikaner ja raha hu waha bhi shahar dekhne.. 🤪